DaWaT IsLam : ISLAMIC KNOWLEDGE

Friday 22 June 2018

ISLAMIC KNOWLEDGE


  • RASOOL ALLAH (S.A.W) KI SEERAT E PAAKISLAMIC 

  1. YEH POST HAZRAT MUHAMMAD SALLALAHU ALEHI WASALLAMKI ZINDAGI PAR HAI.HUM MUSALMANO KE ANDAR YEH JAZBAROR SHAUK HONA CHAHIYE KI JISKE HUM NAAM LEWAH HAI AURJISKE HUM UMMATI KEHLATE HAI AUR JISNE SIRF APNI UMMAT KE LIYE DUAYE KI HUM US ZAAT E GIRAMI KE BAARE MAI KITNA JAANTE HAI.POST LAMBI ZAROOR HAI LEKIN POORA PADHE. MAINE POORI KOSHISH KIPOST KO SHORT MAI LIKHNE KI. HAZRAT MUHAMMAD SALLALAHU ALEHI WASALLAM KI WALADAD (BIRTH)MONDAY TIME SUBAH SAADIQ (BEFORE SUNRISE) 9 RABI UL AWWALMUTABIK 20 APRIL 571 EISWI MAI MAKKA MUKARRAMA MAI HUA.AAPKE (S.A.W.) WALID (FATHER) KA NAAM ABDULLAH OR WALIDA (MOTHER) KAM NAAM AAMINA BINT WAHB THA.AAPKI UMAR (AGE) 6 SAAL (YEAR) THI JAB AAPKIWALIDA KI WAFAT (DEATH) HUI. BHIR TAKREEBAN (APPROX) DO SAAL (2 YEAR) DADA KI KIFALAT ME RAHE PHIR CHACHA ABU TALIB KAFEEL HUYE.AAPNE MULK E SHAAM KE DO SAFAR KIYE PEHLA SAFAR 12 SAAL KI UMARME CHACHA KE SAATH (NABUWAT KI BASHARAT ISI SAFAR MAI HUI).DUSRA SAFAR TIJARATI (BUSINESS) 23-24 SAAL KI UMAR MAI.


AAPKI (S.A.W) BIWIYAAAPKA NIKAH 11 AURTO SE HAUAAPKA PEHLA NIKAH (MARRIGE) SAFAR E SHAAM KE DO MAHINE (2 MONTH)
KE BAAD 25 SAAL KI UMAR ME HAZRAT KHADIJA (R.A) SE HUA JO KI
40 SAAL BEWAA (WIDOW) THI. AAP (S.A.W)NE 20 UNT (CAMEL) MEHAR (DOWRY)
ME DIYE.OR 25 SAAL TAK AAPKE NIKAH MAI RAHI OR RAMAZAN 10 NABVI
MAI 65 BARAS KI UMAR MAI HAZRAT KHADIJA KA INTEKAAL HUA.
HUZUR SALLAHU ALEHI WASALLAM KO INSE BEHAD MUHABBAT THI AUR INKI
ZINDAGI ME KOI DUSRA NIKAH NAHI KIYA. INKE BAAD ISI SAAL (SAME YEAR)
SHAWWAL ME HAZRAT AYESHA AUR HAZRAT SOUDAH (R.A) SE NIKAH HUA.
HAZRAT SOUDAH (R.A) BHI BEWA THI.TAMAM BIWI ME SIRF HAZRAT AYESHA
THI JO KUWARI THI BAAKI SAARI BIWIYA (WIFE'S) BEWA (WIDOW) THI. 
YEH TEEN NIKAH THE JO HIJRAT SE PEHLE HUYE BAAKI NIKAH HIJRAT KE 
BAAD HUYE.HAZRAT AAYESHA (R.A) HAZRAT ABU BAKR SIDDIQ (R.A)KI BETI THI.
USKE BAAD HAZRAT UMAR BIN KHATTAB (R.A) KI BETI HAZRAT HAFSA (R.A) SE NIKAH
HUA.INKE BAAD HUZUR (S.A.W) KA NIKAH HAZRAT ZAINAB (R.A) SE HUA.
HAZRAT KHADIJA (R.A) AUR HAZRAT ZAINAB (R.A) DO BIWIYA AISI HAI 
JINKA INTEKAAL AAPKE SAAMNE HUA BAAKI 9 BIWIYA AAPKE VISAAL KE WAQT HAYAT (ALIVE)
THI.INKE BAAD AAPKA NIKAH UMME SALMA (R.A) SE HUA. INKE BAAD AAPKA NIKAH 
ZAINAB BINTE JEHASH (R.A) SE HUA YEH AAPKI PHUPI KI BETI HAI.YEH AAPKI WOH BIWI 
HAI JINKA NIKAH KHUD ALLAH JALLE SHANAHU NE KIYA JISKA MUFASSAL KISSA SURAH AHZAB 
ME BHI HAI.INKO ISPAR FAKHR THA KI SAB AURTO KA NIKAH UNKE AULIYA NE KIYA LEKIN
MERA NIKAH ALLAH JALLE SHANAHU NE KIYA.INKE BAAD AAPKA NIKAH HAZRAT JAWIRIYA BINTE
AL HARIS BIN ZARAAR (R.A.) SE HUA. UNKE BAAD AAPKA NIKAH HAZRAT UMME HABIBA (R.A) 
ABU SUFYAN KI SAHABZAADI (BETI) SE HUA. UNKE BAAD AAPKA NIKAH HAZRAT SAFIYA (R.A) SE
HUA. UNKE BAAD AAPKA NIKAH HAZRAT MEMUNA (R.A) SE HUA.

  • AAPKI (S.A.W) AULAAD
AAP (S.A.W) KI 4 BETIYA HUI AUR AKSAR KI TEHKIK YEH HE KI INME SABSE BADI HAZRAT ZAINAB(R.A)
PHIR HAZRAT RUKAIYA (R.A) PHIR HAZRAT UMME KULSUM (R.A) PHIR HAZRAT FATIMA (R.A). LADKO MAI
IKHTILAAF HAI JISKI WAJAH YEH HAI KI AAPKE BETE BACHPAN MAI HI INTEKAAL FARMA GAYE.
AKSAR KI TEHKEEK YE HAI 3 LADKE HAZRAT QASIM (R.A.) HAZRAT ABDULLAH (R.A.) HAZRAT IBRAHIM (R.A.).

  • TABLIGH
AAPKO NABUWAT 40 SAAL KI UMAR 9 RABI UL AWWAL BAROZ PEER (MONDAY)
MUTABIK 12 FEBRUARY 610 EISWI MAI MILI.
NABUWAT KE BAAD AAP (S.A.W) TABLIGH E ISLAM SHURU KI HAZRAT KHADIJA (R.A.) 
HAZRAT ABU BAKR SIDDIQ (R.A) HAZRAT ALI (R.A) AUR HAZRAT ZAID (R.A) PEHLE HI DIN
MUSALMAN HO GAYE.TEEN SAL TAK KHUFIYA (SECRET) TABLIGH HOTI RAHI JISSE 40 LOG MUSALMAN HUYE.
3 NABWI KE AAKHIR MAI AAP (S.A.W) GAWAHE SAFFA PAR CHADE, QURESH KO PUKARA AUR KHITAAB E AAM FARMAYA
AUR APNI NABUWAT KA EILAAN KAR DIYA, SUNTE HI QURESH KA PAARA CHAD GAYA.
5 NABWI MAI AWWAL HIJRAT KI HABSHA KI TARAF KYUNKI QURESH KE TASHADDUD PAR UTAR AANE SE AAP (S.A.W)
NE MUSALMANO KO HIJRAT E HABSHA KA HUKM DIYA. USKE BAAD 15 MUHAJIRIN HABSHA MAI MUQEEM HO GAYE.
6 NABWI MAI HAZRAT HAMZA (R.A) AUR UNKE TEEN DIN BAAD HAZRAT UMAR (R.A) ISLAM KI AAGHOSH MAI AA 
GAYE, JISSE ISLAM KO BADI TAQWIYAT MILI MAGAR QURESH BHADAK UTHE.
7 NABWI MAI JAB AHAL E MAKKA ZYADA TASHADDUD HO GAYE TO AAP (S.A.W) NE DOBARA HIJRAT KI IJAZAT DEDI
MUHAJIRIN KE AMEER HAZRAT JAFAR (R.A) THE, UNHI KE HAATH PAR SHAHE HABSHA MUSALMAN HUA.
10 NABWI MAI AAP (S.A.W) NE BA GARZ TABLIGH TAIF KA SAFAR KIYA, ISI SAAL 27 RAJAB SHAB MAI MEERAJ HUI.
13 NABWI ME 27 SAFAR SHAB MAKKA SE GAAR SUR, PHIR TEEN DIN BAAD MADINA RAWANA HO GAYE.
8 RABI UL AWWAL BAROZ PEER (MONDAY) QUBBA AUR 12 RABI UL AWWAL BAROZ JUMA (FRIDAY) MADINA PAHUNCHE.
JAB AAPNE HIJRAT KI TAB SE MUSLIM SAAL KI SHURUWAT HUI JO HIJRI KE NAAM JAANA JAATA HAI.
  •  HIJRI MAI MASJID E NABWI TAMEER HUI.
  •  HIJRI MAI AZAN KA HUKM HUA, ROZE FARZ HUYE, GHAZWA E BADAR HUA.
  •  HIJRI MAI ZAKAAT FARZ HUI, SHARAB HARAM HUI GHAZWA E OHAD HUA.
  •  HIJRI MAI JANG E KHANDAK HUI.
  •  HIJRI MAI QURESH KE SAATH SULAH E HUDAIBIYA HUI.
  •  HIJRI MAI MAKKA FATEH HUA.
  •  HIJRI MAI GHAZWA E TABOOQ HUA.
  •  HIJRI MAI HUJJATUL WIDA HUA.
  • HIJRI MAI 28 SAFAR ME MARZ UL WAFAT HUAAUR 63 SAAL 4 DIN KI UMAR PAKAR
  • RABI UL AWWAL BAROZ PEER BA WAQT E CHASHT AAP SALLALAHU ALEHI WASALLAM RAFEEQ E AALA SE JA MILE.
  • Deeni Baatain
Dunya ki Zeenat Chaar Cheezen Hain
  •  Walidain
  •  Dana Dost
  •  Naik Biwi
  • Naik Aoulad.
Aakhirat ki Zeenat Chaar Cheezen Hain
  •  Sadqah
  • HuQ

  • ooqul Ibad
  •  Taqwa
Jism ki Zeenat Chaar Cheezen Hain
  •  Km bolna
  •  Km khana
  •  Km sona
  •  Km hasna.
Dil ki Zeenat Chaar Cheezen Hain
  •  Sabr
  •  Zikr
  •  Shukr
  • Gour o Fikr.
Iman ki Zeenat Chaar Cheeze Hain
  •  Haya
  •  Pakeezgi
  •  Sacchayi
  •  Adl (Insaf).
FRNDS AGR KO HAMARA PAGE PASAND AYA TU HMARA CHANNEL KO B ZURAR SUBSCRIBE KARIN LINK MA NICHA DA DUN GA
https://www.youtube.com/channel/UC0IcXtjcyqJzcpriNwGegiA

No comments:

Post a Comment

hy

hy how are you