POET"PARVEEN SHAKIR "
ab itnī sādgī laa.eñ kahāñ se
zamīñ kī ḳhair māñgeñ āsmāñ se
agar chāheñ to vo dīvār kar deñ
hameñ ab kuchh nahīñ kahnā zabāñ se
sitāra hī nahīñ jab saath detā
to kashtī kaam le kyā bādbāñ se
bhaTakne se mile fursat to pūchheñ
patā manzil kā mīr-e-kārvāñ se
tavajjoh barq kī hāsil rahī hai
so hai āzād fikr-e-āshiyāñ se
havā ko rāz-dāñ ham ne banāyā
aur ab nārāz ḳhushbū ke bayāñ se
zarūrī ho ga.ī hai dil kī zīnat
makīñ pahchāne jaate haiñ makāñ se
fanā-fil-ishq honā chāhte the
magar fursat na thī kār-e-jahāñ se
vagarna fasl-e-gul kī qadr kyā thī
baḌī hikmat hai vābasta ḳhizāñ se
kisī ne baat kī thī hañs ke shāyad
zamāne bhar se haiñ ham ḳhud gumāñ se
maiñ ik ik tiir pe ḳhud Dhaal bantī
agar hotā vo dushman kī kamāñ se
jo sabza dekh kar ḳheme lagā.eñ
unheñ taklīf kyuuñ pahuñche ḳhizāñ se
jo apne peḌ jalte chhoḌ jaa.eñ
unheñ kyā haq ki rūTheñ bāġhbāñ se
No comments:
Post a Comment