DaWaT IsLam : FMOUS POET FAIZ AHMAD FAIZ BY FAMOUS GHAZAL

Sunday 1 July 2018

FMOUS POET FAIZ AHMAD FAIZ BY FAMOUS GHAZAL



Poet"FAIZ AHMAD FAIZ"

aa.e kuchh abr kuchh sharāb aa.e
is ke ba.ad aa.e jo azaab aa.e
bām-e-mīnā se māhtāb utre
dast-e-sāqī meñ āftāb aa.e
har rag-e-ḳhūñ meñ phir charāġhāñ ho
sāmne phir vo be-naqāb aa.e
umr ke har varaq pe dil nazar
terī mehr-o-vafā ke baab aa.e
kar rahā thā ġham-e-jahāñ hisāb
aaj tum yaad be-hisāb aa.e
na ga.ī tere ġham sardārī
dil meñ yuuñ roz inqalāb aa.e
jal uThe bazm-e-ġhair ke dar-o-bām
jab bhī ham ḳhānumāñ-ḳharāb aa.e
is tarah apnī ḳhāmushī gūñjī
goyā har samt se javāb aa.e
'faiz' thī raah sar-ba-sar manzil
ham jahāñ pahuñche kāmyāb aa.e

VIDEOS

Vithal Rao

Vithal Rao

Unknown

Unknown

Ghulam Ali

Ghulam Ali

Runa Laila

Runa Laila

Nusrat Fateh Ali Khan

Nusrat Fateh Ali Khan

Mehdi Hasan

Mehdi Hasan

Begum Akhtar

Begum Akhtar

Unknown

Unknown

Jagjit Singh

Jagjit Singh

Shakeela Khurasani

Shakeela Khurasani

Unknown

Unknown

Sajjad Husain

Sajjad Husain

RECITATIONS

Mehdi Hasan

Mehdi Hasan

Runa Laila

Runa Laila

No comments:

Post a Comment

hy

hy how are you